Please Subscribe our You Tube channel
Almora is the district headquarter and Kausani is known as Switzerland of India. Come, see and enjoy the beauty and peace of Nature. Almora and Kausani both are beautiful hill stations and gems of Uttarakhand. Kausani is about 52 kms far from Almora. There is beautiful and pleasant road between these two divine places.
Almora shahar se khubsurat hill station kausani ke duri hai takriban 52 kilometer, aur lagne waala samay hai lagbhag 2 hours. almoda se kuasni ke madhya aane waale sthano mei mukhya hai kosi, devsthal, manaan, ranman, someshwar aadi.
Kosi se labhag 1 kilometer aage badne kee baad ye left hand ko road hai ranikhet aur dwarahat ke lie, ranikhet kee duri hai yahan se 33km aur dwarahat hai lagbhag 66 kilometer kee duri per, jaisa kee humne board mei parha. hum right hand side ka route leke bad rahe hai Kausni marg per jo hai yahan se lagbhag 34 kilometer. kosi se lagbhag 3 km aage sthit prasiddh shiv mandir devsthal sadak se neeche kee or hai, shivratri ko yahan bhandara aur mela lagta hai, jisme kaafi dur dur se shradhhalu yahan aate hain.
Pahado mei sididaar khet kis tarah k hote hai, yahan aap dekh sakte hain, sadak ke saath saath nadi bahti hai, jo haalaki jayada badi nahi hai, aas paas ke pahadiyon se paani bahkar es nadi mei jagah jagha par milta hai.
Almora se kausani ke safar ki ek khasiyat ye bhi hai ki,, thodi thodi duri par choti choti bajaren dikhti hai jisse apko bilkul b boriyat nhi hoti.. Chahe ap khud drive kr rhe ho ya passenger ho…
Someshwar, yahan bhi kaafi ghani bajar aur aabadi hai, jo Almora se laghbhag 40 kilometer ki duri per hai, yahas se agle chaurahe se bayi haath ko binta/ dwarahat aur ranikhet ko marg jaata hai. Someshwar mei 2 petrol pump hai. yahas se kausani ke duri lagbhag 12 kilometer hai.
Kausani Devi Mandir mai april ke mahine ki navratiri mai bhandara hota hai. jahan Kal Bhairav, Durga mata, aur kaali Devi aur Hanuman jee ke pratimaayen hai. Sadak mei chalte wahan yahan ruk ke ashirwad jarur grahan karte hai.
yaha march april navratiri mai bhandara hota hai. jahan Kal Bhairav, Durga mata, aur kaali Devi aur HAnuman jee ke pratimaayen hai.